tum mile to hui ajib si baat
tum mile to huī ajiib sī baat
dost karne lage raqīb sī baat
niiñd aa.e to maḳhmalī ehsās
varna bistar meñ hai salīb sī baat
falsafa zindagī kā mat pūchho
maiñ kahūñgā baḌī ajiib sī baat
tum yahāñ dost se muḳhātab ho
mat karo shā.ir-o-adīb sī baat
pūchh mat un ke sāmne 'bādal'
mere dil meñ hai kyā ajiib sī baat
tum mile to hui ajib si baat
dost karne lage raqib si baat
nind aae to maKHmali ehsas
warna bistar mein hai salib si baat
falsafa zindagi ka mat puchho
main kahunga baDi ajib si baat
tum yahan dost se muKHatab ho
mat karo shair-o-adib si baat
puchh mat un ke samne 'baadal'
mere dil mein hai kya ajib si baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.