tum mere samne aao to koi baat bane
tum mire sāmne aao to koī baat bane
zaḳhm is dil pe lagāo to koī baat bane
aag ghar kī to zamāne meñ bujhāte haiñ sabhī
ātish-e-dil jo bujhāo to koī baat bane
rāh-e-hastī meñ kaḌī dhuup hai mere sar par
tum ghaTā ban ke jo chhāo to koī baat bane
chaḌhte sūraj ko to har shaḳhs hī kartā hai salām
girte logoñ ko uThāo to koī baat bane
har musāfir ko jahāñ phal bhī mile saaya bhī
peḌ kuchh aise lagāo to koī baat bane
ghar ke āñgan kī to dīvār girā dī 'rāhī'
dil kā mīnār girāo to koī baat bane
tum mere samne aao to koi baat bane
zaKHm is dil pe lagao to koi baat bane
aag ghar ki to zamane mein bujhate hain sabhi
aatish-e-dil jo bujhao to koi baat bane
rah-e-hasti mein kaDi dhup hai mere sar par
tum ghaTa ban ke jo chhao to koi baat bane
chaDhte suraj ko to har shaKHs hi karta hai salam
girte logon ko uThao to koi baat bane
har musafir ko jahan phal bhi mile saya bhi
peD kuchh aise lagao to koi baat bane
ghar ke aangan ki to diwar gira di 'rahi'
dil ka minar girao to koi baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.