tum mere shahr mein aate ho chale jate ho
tum mire shahr meñ aate ho chale jaate ho
dil pe ik zaḳhm lagāte ho chale jaate ho
tum se mil kar bhī koī baat nahīñ ho paatī
sirf apnī hī sunāte ho chale jaate ho
maiñ ki asbāb-e-safar bāñdh ke aa jaatī huuñ
tum na.ī raah dikhāte ho chale jaate ho
mausam-e-gul ke utarte hī mire āñgan meñ
hijr kā giit sunāte ho chale jaate ho
aaj kī shaam tire naam rahegī merī
aise kuchh jhuuT sunāte ho chale jaate ho
ruuTh jā.ūñ to faqat ek tabassum de kar
saare shikve hī bhulāte ho chale jaate ho
tum mere shahr mein aate ho chale jate ho
dil pe ek zaKHm lagate ho chale jate ho
tum se mil kar bhi koi baat nahin ho pati
sirf apni hi sunate ho chale jate ho
main ki asbab-e-safar bandh ke aa jati hun
tum nai rah dikhate ho chale jate ho
mausam-e-gul ke utarte hi mere aangan mein
hijr ka git sunate ho chale jate ho
aaj ki sham tere nam rahegi meri
aise kuchh jhuT sunate ho chale jate ho
ruTh jaun to faqat ek tabassum de kar
sare shikwe hi bhulate ho chale jate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.