tum muztarib nahin mere haal-e-tabah se
tum muztarib nahīñ mire hāl-e-tabāh se
dekho zarā nigāh milā kar nigāh se
dekhā to hogā tum ne hamārā maqām bhī
guzre kabhī to hoge mohabbat kī raah se
bazm-e-jahāñ meñ koī tajallī-e-dil-navāz
bach kar kabhī ga.ī na hamārī nigāh se
qaa.em hai ye jahāñ tirī ismat hī se magar
raunaq jahāñ kī hai mire zauq-e-gunāh se
vo dil rahīn-e-kashmakash-e-iztirāb-o-kaif
vo uzr-e-be-ruḳhī nigah-e-gāh-gāh se
sab kuchh hai aur kuchh nahīñ ai dād-ḳhvāh-e-ishq
vo dekh kar na dekhnā nīchī nigāh se
tum muztarib nahin mere haal-e-tabah se
dekho zara nigah mila kar nigah se
dekha to hoga tum ne hamara maqam bhi
guzre kabhi to hoge mohabbat ki rah se
bazm-e-jahan mein koi tajalli-e-dil-nawaz
bach kar kabhi gai na hamari nigah se
qaem hai ye jahan teri ismat hi se magar
raunaq jahan ki hai mere zauq-e-gunah se
wo dil rahin-e-kashmakash-e-iztirab-o-kaif
wo uzr-e-be-ruKHi nigah-e-gah-gah se
sab kuchh hai aur kuchh nahin ai dad-KHwah-e-ishq
wo dekh kar na dekhna nichi nigah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.