tum na hote bhi to jahan hota
tum na hote bhī to jahāñ hotā
itnā dilkash magar kahāñ hotā
shauq gar zūd-kāmrāñ hotā
to maza is qadar kahāñ hotā
har nazar kī hai apnī had hotī
apnā apnā hai āsmāñ hotā
terī pahchān ham kareñ kaise
kuchh to ai be-nishāñ nishāñ hotā
dil meñ un ke milī amaañ tujh ko
varna tū ai 'sadā' kahāñ hotā
tum na hote bhi to jahan hota
itna dilkash magar kahan hota
shauq gar zud-kaamran hota
to maza is qadar kahan hota
har nazar ki hai apni had hoti
apna apna hai aasman hota
teri pahchan hum karen kaise
kuchh to ai be-nishan nishan hota
dil mein un ke mili aman tujh ko
warna tu ai 'sada' kahan hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.