tum nahin to malal thoDi hai
tum nahīñ to malāl thoḌī hai
jiinā merā muhāl thoḌī hai
ho pareshān to bahut tum bhī
bas burā merā haal thoḌī hai
jo kamāyā harām hai yā halāl
har kisī ko ḳhayāl thoḌī hai
maañ kī ḳhidmat hī jab nahīñ karte
saath rahnā kamāl thoḌī hai
ye ḳhushī merī 'ārzī hai bas
mere ġham kā zavāl thoḌī hai
maat mujh ko milī hai har shai meñ
hausla par nidhāl thoḌī hai
dost bhī haiñ gine-chune mere
sab se miltā ḳhayāl thoḌī hai
ham haiñ 'rāzī' ḳhudā ke nā-farmān
ham pe yūñhī zavāl thoḌī hai
tum nahin to malal thoDi hai
jina mera muhaal thoDi hai
ho pareshan to bahut tum bhi
bas bura mera haal thoDi hai
jo kamaya haram hai ya halal
har kisi ko KHayal thoDi hai
man ki KHidmat hi jab nahin karte
sath rahna kamal thoDi hai
ye KHushi meri 'arzi hai bas
mere gham ka zawal thoDi hai
mat mujh ko mili hai har shai mein
hausla par nidhaal thoDi hai
dost bhi hain gine-chune mere
sab se milta KHayal thoDi hai
hum hain 'raazi' KHuda ke na-farman
hum pe yunhi zawal thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.