tumne dekha hai kabhi dil ye hamara TuTa
tum ne dekhā hai kabhī dil ye hamārā TuuTā
dekhne aatā hai har shaam sitārā TuuTā
reg-e-sāhil pe kisī naam kā aañsū Tapkā
mauj-e-betāb se dariyā kā kinārā TuuTā
dil kī ik samt banāyā thā koī shīsh-mahal
ġham kī āñdhī meñ magar saare kā saarā TuuTā
tez raftār safar se to gurezāñ hī rahe
ham kisī yaad meñ gum the ki ishārā TuuTā
ham to samjhe the mohabbat meñ baḌī tāqat hai
ye bharam bhī to sar-e-husn hamārā TuuTā
ek mazbūt ta.alluq hai shikasta 'manzar'
ḳhud ko barbād kiyā us ko sañvārā TuuTā
tum ne dekha hai kabhi dil ye hamara TuTa
dekhne aata hai har sham sitara TuTa
reg-e-sahil pe kisi nam ka aansu Tapka
mauj-e-betab se dariya ka kinara TuTa
dil ki ek samt banaya tha koi shish-mahal
gham ki aandhi mein magar sare ka sara TuTa
tez raftar safar se to gurezan hi rahe
hum kisi yaad mein gum the ki ishaara TuTa
hum to samjhe the mohabbat mein baDi taqat hai
ye bharam bhi to sar-e-husn hamara TuTa
ek mazbut talluq hai shikasta 'manzar'
KHud ko barbaad kiya us ko sanwara TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.