tumne diwana kiya achchha hua
tum ne dīvāna kiyā achchhā huā
har jagah merā junūñ rusvā huā
ab to dīvānoñ ke dil kī ho ga.ī
mausam-e-gul meñ chaman sahrā huā
jo bhī aayā husn-e-pinhāñ dekh kar
koī andhā to koī bahrā huā
dekh lo is meñ mirī tasvīr hai
ashk-e-ġham palkoñ pe hai Thahrā huā
fat.h kaise pā.eñge kuffār par
qaum kā shīrāza hai bikhrā huā
thā jo 'aḳhtar' zahr sā tīr-e-nazar
din-ba-din zaḳhm-e-jigar gahrā huā
tum ne diwana kiya achchha hua
har jagah mera junun ruswa hua
ab to diwanon ke dil ki ho gai
mausam-e-gul mein chaman sahra hua
jo bhi aaya husn-e-pinhan dekh kar
koi andha to koi bahra hua
dekh lo is mein meri taswir hai
ashk-e-gham palkon pe hai Thahra hua
fath kaise paenge kuffar par
qaum ka shiraaza hai bikhra hua
tha jo 'aKHtar' zahr sa tir-e-nazar
din-ba-din zaKHm-e-jigar gahra hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.