tumne gar mujhko kabhi dil se pukara hota
tum ne gar mujh ko kabhī dil se pukārā hotā
phir bulandī pe mohabbat kā sitārā hotā
mere hāthoñ meñ agar haath tumhārā hotā
kitnā dilkash vo mirī jaan nazārā hotā
bas taḳhayyul hai tirī yaad hai tanhā.ī hai
kaash aise meñ mujhe tū ne pukārā hotā
apne mahbūb kī bas ek jhalak paane ko
yaar bechain kabhī dil na hamārā hotā
tū jo mil jaatā to mil jātīñ jahāñ kī ḳhushiyāñ
terā har zulm-o-sitam mujh ko gavāra hotā
tishnagī hoñToñ pe hotī na namī āñkhoñ meñ
vaqt-e-āḳhir jo agar saath tumhārā hotā
tum ne gar mujh ko kabhi dil se pukara hota
phir bulandi pe mohabbat ka sitara hota
mere hathon mein agar hath tumhaara hota
kitna dilkash wo meri jaan nazara hota
bas taKHayyul hai teri yaad hai tanhai hai
kash aise mein mujhe tu ne pukara hota
apne mahbub ki bas ek jhalak pane ko
yar bechain kabhi dil na hamara hota
tu jo mil jata to mil jatin jahan ki KHushiyan
tera har zulm-o-sitam mujh ko gawara hota
tishnagi honTon pe hoti na nami aankhon mein
waqt-e-aKHir jo agar sath tumhaara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.