tumne hi to girai thi mujh par ye bijliyan
tum ne hī to girā.ī thī mujh par ye bijliyāñ
dene ko aa rahī ho mujhe kyuuñ tasalliyāñ
sone sī thī kharī maiñ chamak barqarār thī
phir kyuuñ hazār baar liiñ merī talāshiyāñ
nikle jo āshiyāñ ko girāne kabhī mire
girne lagī hai aaj unhīñ par ye bijliyāñ
suljhāyā jitnā utnī hī uljhī ye zindagī
is zindagī kī hal nahīñ hotī paheliyāñ
shā.istagī mohabbateñ ulfat vafā hayā
rakkhī hai mere paas tirī sab nishāniyāñ
kartā nahīñ hai koī mohabbat yahāñ hameñ
aatī hai roz roz hameñ kyuuñ ye hichkiyāñ
'shā.istā' yaad tujh ko kare kab talak batā
ab chāhiye mujhe tirī yādoñ se chhuTTīyāñ
tum ne hi to girai thi mujh par ye bijliyan
dene ko aa rahi ho mujhe kyun tasalliyan
sone si thi khari main chamak barqarar thi
phir kyun hazar bar lin meri talashiyan
nikle jo aashiyan ko girane kabhi mere
girne lagi hai aaj unhin par ye bijliyan
suljhaya jitna utni hi uljhi ye zindagi
is zindagi ki hal nahin hoti paheliyan
shaistagi mohabbaten ulfat wafa haya
rakkhi hai mere pas teri sab nishaniyan
karta nahin hai koi mohabbat yahan hamein
aati hai roz roz hamein kyun ye hichkiyan
'shaista' yaad tujh ko kare kab talak bata
ab chahiye mujhe teri yaadon se chhuTTiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.