tumne ek bar bhi is baat ko socha na kiya
tum ne ik baar bhī is baat ko sochā na kiyā
ki tumhāre liye is shaḳhs ne kyā kyā na kiyā
vo bhī mujrim hai ki us ne kī mohabbat tujh se
tū ne bhī haath chhuḌā kar koī achchhā na kiyā
phuul karte rahe tauhīn sadā ḳhāroñ kī
phir bhī bechāroñ ne ab tak koī shikva na kiyā
baat achchhā.iyoñ kī aa.ī to ai ġhair-e-vafā
maiñ ne kis jā tire ausāf kā charchā na kiyā
ruḳh-e-pur-nūr thā pahlū meñ mire vasl kī shab
is liye maiñ ne shabistāñ meñ ujālā na kiyā
ba.ad tere tirī tasvīr na dekhī maiñ ne
apne zaḳhmoñ ko dobāra kabhī gahrā na kiyā
ḳhud-kushī kī kisī maḳhlūq pe mar kar maiñ ne
is liye rab ne dobāra mujhe zinda na kiyā
ham hī tanhā rahe mahrūm karam se is ke
varna is peḌ ne kis shaḳhs pe saaya na kiyā
āḳhirī baar jise dekhā thā tum the jānāñ
aap ke baad dobāra kabhī aisā na kiyā
tū bhī rādhā na banī merī mohabbat meñ sanam
maiñ ne bhī ḳhud ko tire pyaar meñ kānhā na kiyā
vo mirā thā vo mirā hai vo rahegā merā
ham ne is tarh kā jhūTā koī da.avā na kiyā
kaliyāñ murjhā.ī thiiñ gulshan ke parinde chup the
bas isī vaj.h se sūraj ne saverā na kiyā
us ne chhoḌā jo mujhe puurā kā puurā chhoḌā
kaam ye bhī mire hamdam ne adhūrā na kiyā
uḌ chale kah ke ki kyā fā.eda ma.azūroñ se
TuuTī shāḳhoñ pe parindoñ ne baserā na kiyā
apnī zau detā rahā us ko hamesha sūraj
chāñd ko aaj talak us ne parāyā na kiyā
abd-o-ma.abūd meñ kuchh farq to baaqī rah jaa.e
is liye rab ne kisī shaḳhs ko yaktā na kiyā
husn ho rizq ho daulat ho ki shohrat ho 'suhail'
bhāgtī chīzoñ kā maiñ ne kabhī pīchhā na kiyā
tum ne ek bar bhi is baat ko socha na kiya
ki tumhaare liye is shaKHs ne kya kya na kiya
wo bhi mujrim hai ki us ne ki mohabbat tujh se
tu ne bhi hath chhuDa kar koi achchha na kiya
phul karte rahe tauhin sada KHaron ki
phir bhi bechaaron ne ab tak koi shikwa na kiya
baat achchhaiyon ki aai to ai ghair-e-wafa
main ne kis ja tere ausaf ka charcha na kiya
ruKH-e-pur-nur tha pahlu mein mere wasl ki shab
is liye main ne shabistan mein ujala na kiya
baad tere teri taswir na dekhi main ne
apne zaKHmon ko dobara kabhi gahra na kiya
KHud-kushi ki kisi maKHluq pe mar kar main ne
is liye rab ne dobara mujhe zinda na kiya
hum hi tanha rahe mahrum karam se is ke
warna is peD ne kis shaKHs pe saya na kiya
aaKHiri bar jise dekha tha tum the jaanan
aap ke baad dobara kabhi aisa na kiya
tu bhi radha na bani meri mohabbat mein sanam
main ne bhi KHud ko tere pyar mein kanha na kiya
wo mera tha wo mera hai wo rahega mera
hum ne is tarh ka jhuTa koi dawa na kiya
kaliyan murjhai thin gulshan ke parinde chup the
bas isi wajh se suraj ne sawera na kiya
us ne chhoDa jo mujhe pura ka pura chhoDa
kaam ye bhi mere hamdam ne adhura na kiya
uD chale kah ke ki kya faeda mazuron se
TuTi shaKHon pe parindon ne basera na kiya
apni zau deta raha us ko hamesha suraj
chand ko aaj talak us ne paraya na kiya
abd-o-mabud mein kuchh farq to baqi rah jae
is liye rab ne kisi shaKHs ko yakta na kiya
husn ho rizq ho daulat ho ki shohrat ho 'suhail'
bhagti chizon ka main ne kabhi pichha na kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.