tumne ek git ab uchhaala hai
tum ne ik giit ab uchhālā hai
ham ne jab saaz toḌ Daalā hai
zulmatoñ kā jo bol-bālā hai
koī sūraj nikalne vaalā hai
ranjisheñ mere kaam aa.ī haiñ
laġhzishoñ ne mujhe sañbhālā hai
maiñ yahāñ bhī banā.ūñgā jannat
mujh ko jannat se kyoñ nikālā hai
ek jhoñke meñ ḳhatm hai qissa
zindagī makḌiyoñ kā jaalā hai
tum ne ek git ab uchhaala hai
hum ne jab saz toD Dala hai
zulmaton ka jo bol-baala hai
koi suraj nikalne wala hai
ranjishen mere kaam aai hain
laghzishon ne mujhe sanbhaala hai
main yahan bhi banaunga jannat
mujh ko jannat se kyon nikala hai
ek jhonke mein KHatm hai qissa
zindagi makDiyon ka jala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.