tumne itna bhula diya hum ko
tum ne itnā bhulā diyā ham ko
jab bhī chāhā rulā diyā ham ko
niiñd to ḳhair aa nahīñ saktī
pyaar kā jo sila diyā ham ko
ḳhvāb jhūTe baḌe hī sachche the
ḳhvāh-maḳhvāh kyuuñ jagā diyā ham ko
aap aisā kabhī karoge nahīñ
vaqt ne hī daġhā diyā ham ko
chāhtā huuñ jise bahut ziyāda
ḳhaak meñ hī milā diyā ham ko
tum ne itna bhula diya hum ko
jab bhi chaha rula diya hum ko
nind to KHair aa nahin sakti
pyar ka jo sila diya hum ko
KHwab jhuTe baDe hi sachche the
KHwah-maKHwah kyun jaga diya hum ko
aap aisa kabhi karoge nahin
waqt ne hi dagha diya hum ko
chahta hun jise bahut ziyaada
KHak mein hi mila diya hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.