tumne jab zulf-e-pareshan ko sanwara hoga
tum ne jab zulf-e-pareshāñ ko sañvārā hogā
sadqa-e-husn ghaTāoñ ne utārā hogā
aap kī chashm-e-karam kā jo ishāra hogā
auj par mere muqaddar kā sitāra hogā
sang-dil tere bhī aañsū nikal aa.e hoñge
Dūbne vaale ne jab tujh ko pukārā hogā
maiñ ne ilzām ḳhushī se liye sab apne sar
aap badnām huuñ ye kis ko gavāra hogā
kuchh to qismat kī hai sāzish mirī barbādī meñ
aur kuchh un kī bhī nazroñ kā ishāra hogā
kyā ġharaz us ko zamāne kī ḳhushī se 'dānish'
yaar kā ġham hī jise jaan se pyārā hogā
tum ne jab zulf-e-pareshan ko sanwara hoga
sadqa-e-husn ghaTaon ne utara hoga
aap ki chashm-e-karam ka jo ishaara hoga
auj par mere muqaddar ka sitara hoga
sang-dil tere bhi aansu nikal aae honge
Dubne wale ne jab tujh ko pukara hoga
main ne ilzam KHushi se liye sab apne sar
aap badnam hun ye kis ko gawara hoga
kuchh to qismat ki hai sazish meri barbaadi mein
aur kuchh un ki bhi nazron ka ishaara hoga
kya gharaz us ko zamane ki KHushi se 'danish'
yar ka gham hi jise jaan se pyara hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.