tumne jo manfat se KHasara badal diya
tum ne jo manfa.at se ḳhasāra badal diyā
ham ne mufāhamat kā irāda badal diyā
ai bevafā hayāt tirī gardishoñ kī ḳhair
tū ne bhī kaisā vaqt sunahrā badal diyā
koī to vārdāt huī hai jī us ke saath
kuchh to hai jis ne ye dil-e-sāda badal diyā
go jītnā hamārī baqā kā savāl thā
lekin bisāt-e-vaqt ne mohara badal diyā
pahle to ziist karne kī himmat thī āhanī
kam-mā.egī thī jis ne irāda badal diyā
mafhūm jaan lene se qāsir nahīñ haiñ ham
to kyā huā ki aap ne fiqra badal diyā
ye raushnī kā aadī rahā hai tamām umr
tārīkiyoñ ne shahr kā naqsha badal diyā
apnī tarah ke ek hī haiñ aap bhī janāb
jab ham badal ga.e to irāda badal diyā
ye ishq hī kā vasf rahā hai ki 'sā.ima'
dil pe chaḌhā thā rañg jo gahrā badal diyā
tum ne jo manfat se KHasara badal diya
hum ne mufahamat ka irada badal diya
ai bewafa hayat teri gardishon ki KHair
tu ne bhi kaisa waqt sunahra badal diya
koi to wardat hui hai ji us ke sath
kuchh to hai jis ne ye dil-e-sada badal diya
go jitna hamari baqa ka sawal tha
lekin bisat-e-waqt ne mohara badal diya
pahle to zist karne ki himmat thi aahani
kam-maegi thi jis ne irada badal diya
mafhum jaan lene se qasir nahin hain hum
to kya hua ki aap ne fiqra badal diya
ye raushni ka aadi raha hai tamam umr
tarikiyon ne shahr ka naqsha badal diya
apni tarah ke ek hi hain aap bhi janab
jab hum badal gae to irada badal diya
ye ishq hi ka wasf raha hai ki 'saima'
dil pe chaDha tha rang jo gahra badal diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.