tumne kaisi ye ki hai wafa zindagi
tum ne kaisī ye kī hai vafā zindagī
har koī mujh se hai ab ḳhafā zindagī
koī dushman bhī detā nahīñ is tarah
jaisī tum ne mujhe dī sazā zindagī
muskurāhaT tirī kab se dekhī nahīñ
dekh kar mujh ko tū muskurā zindagī
baat kar mujh se merī taraf dekh kar
baat kar aur mujh ko hañsā zindagī
zabt TuuTā to kuchh bhī bachegā nahīñ
zabt merā na yuuñ aazmā zindagī
ḳhaak tak chhān lī duniyā-bhar kī magar
tere jaisā na mujh ko milā zindagī
maiñ daġhābāz thā so mujhe bhī 'rishā'
phir diyā dostoñ ne daġhā zindagī
tum ne kaisi ye ki hai wafa zindagi
har koi mujh se hai ab KHafa zindagi
koi dushman bhi deta nahin is tarah
jaisi tum ne mujhe di saza zindagi
muskurahaT teri kab se dekhi nahin
dekh kar mujh ko tu muskura zindagi
baat kar mujh se meri taraf dekh kar
baat kar aur mujh ko hansa zindagi
zabt TuTa to kuchh bhi bachega nahin
zabt mera na yun aazma zindagi
KHak tak chhan li duniya-bhar ki magar
tere jaisa na mujh ko mila zindagi
main daghabaz tha so mujhe bhi 'risha'
phir diya doston ne dagha zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.