tumne kitab bheji thi hum usko paDh gae
tum ne kitāb bhejī thī ham us ko paḌh ga.e
ab gherte haiñ zehn ko yādoñ ke qāfile
ham vaqt ke taqāze pe hargiz na jī sake
ye aur baat hai ki hue talḳh tajrabe
kitnā baḌā jahān hai bilkul patā na thā
ham apne hī banā.e gharoñdoñ meñ qaid the
āñkhoñ ke ird-gird ke chehre ubhar uThe
jab yaad aa.e Tiis kī sūrat vo hādse
us ke sabhī ḳhatoñ kī mahak aur baḌh ga.ī
takiye se sar nikāl ke rūmāl jab hañse
ab yaad aa rahī hai isī kashmakash kī baat
kuchh kaam to nahīñ thā magar phir bhī chal paḌe
tum tak pahuñch sakeñge ye ummīd to na thī
kyā ittifāq thā ki bahut paas aa ga.e
tum ne kitab bheji thi hum us ko paDh gae
ab gherte hain zehn ko yaadon ke qafile
hum waqt ke taqaze pe hargiz na ji sake
ye aur baat hai ki hue talKH tajrabe
kitna baDa jahan hai bilkul pata na tha
hum apne hi banae gharondon mein qaid the
aankhon ke ird-gird ke chehre ubhar uThe
jab yaad aae Tis ki surat wo hadse
us ke sabhi KHaton ki mahak aur baDh gai
takiye se sar nikal ke rumal jab hanse
ab yaad aa rahi hai isi kashmakash ki baat
kuchh kaam to nahin tha magar phir bhi chal paDe
tum tak pahunch sakenge ye ummid to na thi
kya ittifaq tha ki bahut pas aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.