tumne kya kya nahin bua dekha
tum ne kyā kyā nahīñ buā dekhā
yaar sā koī chulbulā dekhā
phāñs letā hai bātoñ bātoñ meñ
nahīñ is gat kā marduvā dekhā
chashm-e-pur-nam ko bistar-e-ġham par
shab-e-furqat meñ āshnā dekhā
dūlhā bhaa.ī ke husn ko vallāh
āfat-e-jān fitna-zā dekhā
dil se utreñ buā to jab jānūñ
unheñ nazroñ se to girā dekhā
dil meñ kar kar ke ghar mujhe maarā
pyaar un kā buā balā dekhā
khule jauhar tamāsh-bīnī ke
shab tamāshā jo aap kā dekhā
ho nire ḳhālī Dhol shaiḳh jī tum
ḳhuub ham ne bajā bajā dekhā
dekhā kasbī muī ko hañs hañs kar
ham ko tyorī chaḌhā chaḌhā dekhā
kaho guyyāñ tumheñ ḳhudā kī qasam
koī 'mohsin' sā āshnā dekhā
tum ne kya kya nahin bua dekha
yar sa koi chulbula dekha
phans leta hai baaton baaton mein
nahin is gat ka marduwa dekha
chashm-e-pur-nam ko bistar-e-gham par
shab-e-furqat mein aashna dekha
dulha bhai ke husn ko wallah
aafat-e-jaan fitna-za dekha
dil se utren bua to jab jaanun
unhen nazron se to gira dekha
dil mein kar kar ke ghar mujhe mara
pyar un ka bua bala dekha
khule jauhar tamash-bini ke
shab tamasha jo aap ka dekha
ho nire KHali Dhol shaiKH ji tum
KHub hum ne baja baja dekha
dekha kasbi mui ko hans hans kar
hum ko tyori chaDha chaDha dekha
kaho guyyan tumhein KHuda ki qasam
koi 'mohsin' sa aashna dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.