tumne kyon hans ke mujhe ek nazar dekh liya
tumne kyon hans ke mujhe ek nazar dekh liya
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
tum ne kyoñ hañs ke mujhe ek nazar dekh liyā
aaj kyā aa ga.ī jī meñ jo idhar dekh liyā
ham kis ummīd pe ā.inda koī aah kareñ
ham ne kis aah ko mamnūn-e-asar dekh liyā
karvaTeñ lete hue tum bhī tasavvur meñ mile
tum ko bhī zīnat-e-āġhosh-e-nazar dekh liyā
tere bīmār ko kyoñ dekhne aa.e the tabīb
pyaar kī aañkh se tū ne na udhar dekh liyā
kyoñ ḳhafā hote ho kyoñ paḌ ga.ī māthe pe shikan
kyā huā chashm-e-mohabbat se agar dekh liyā
girtī paḌtī lab-e-'qaisar' se duā niklī hai
ye hī āsār-e-asar haiñ to asar dekh liyā
tum ne kyon hans ke mujhe ek nazar dekh liya
aaj kya aa gai ji mein jo idhar dekh liya
hum kis ummid pe aainda koi aah karen
hum ne kis aah ko mamnun-e-asar dekh liya
karwaTen lete hue tum bhi tasawwur mein mile
tum ko bhi zinat-e-aghosh-e-nazar dekh liya
tere bimar ko kyon dekhne aae the tabib
pyar ki aankh se tu ne na udhar dekh liya
kyon KHafa hote ho kyon paD gai mathe pe shikan
kya hua chashm-e-mohabbat se agar dekh liya
girti paDti lab-e-'qaisar' se dua nikli hai
ye hi aasar-e-asar hain to asar dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.