tumne puchha nahin kabhi hum ko
tum ne pūchhā nahīñ kabhī ham ko
tum se ummīd ye na thī ham ko
rote dekhā mujhe to farmāyā
aa na jaa.e kahīñ hañsī ham ko
jis nazar se ki chāhte the ham
tum ne dekhā nahīñ kabhī ham ko
haa.e kahnā kisī kā jaate hue
kījiye ruḳhsat hañsī ḳhushī ham ko
o javānoñ kī jaan ham se hijāb
yaad hai terī kam-sinī ham ko
haa.e kyā bhole-pan se kahte haiñ
ghūrtī kyuuñ hai aarsī ham ko
muddatoñ meñ huzūr-e-yār 'sharaf'
aaj laa.ī hai be-ḳhudī ham ko
tum ne puchha nahin kabhi hum ko
tum se ummid ye na thi hum ko
rote dekha mujhe to farmaya
aa na jae kahin hansi hum ko
jis nazar se ki chahte the hum
tum ne dekha nahin kabhi hum ko
hae kahna kisi ka jate hue
kijiye ruKHsat hansi KHushi hum ko
o jawanon ki jaan hum se hijab
yaad hai teri kam-sini hum ko
hae kya bhole-pan se kahte hain
ghurti kyun hai aarsi hum ko
muddaton mein huzur-e-yar 'sharaf'
aaj lai hai be-KHudi hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.