tumne roka tha hum pe pani kyon
tum ne rokā thā ham pe paanī kyoñ
yaad karte nahīñ kahānī kyoñ
maiñ to dil kā amīr-zāda huuñ
laa.e poshāk ye shahānī kyoñ
kis kā ghar luT gayā sar-e-maqtal
bhuul jaate ho ye kahānī kyoñ
tishnagī merī bujh nahīñ saktī
DhūñDhtā hai mujhe ye paanī kyoñ
merā ghar luT gayā sar-e-maqtal
phir bhī kahte ho nauha-ḳhvānī kyoñ
bādshāh mere dar pe bante haiñ
tum ne dar-dar kī ḳhaak chhānī kyoñ
dekh kar mere dil meñ neze ko
sar paTaktī hai ye javānī kyoñ
tum ne sochā bhī hai kabhī vaa.iz
mere siine pe hai nishānī kyoñ
maiñ to insān saaf dil kā huuñ
mujh se rakhte ho bad-gumānī kyoñ
zindagī kaaT dī ġhulāmī meñ
chāhte ho ye hukmrānī kyoñ
shahroñ shahroñ ghumā.e phirte ho
nok-e-neza pe zindagānī kyoñ
merī tahzīb lūTne vaalo
mujh pe karte ho mehrbānī kyoñ
tum ne roka tha hum pe pani kyon
yaad karte nahin kahani kyon
main to dil ka amir-zada hun
lae poshak ye shahani kyon
kis ka ghar luT gaya sar-e-maqtal
bhul jate ho ye kahani kyon
tishnagi meri bujh nahin sakti
DhunDhta hai mujhe ye pani kyon
mera ghar luT gaya sar-e-maqtal
phir bhi kahte ho nauha-KHwani kyon
baadshah mere dar pe bante hain
tum ne dar-dar ki KHak chhani kyon
dekh kar mere dil mein neze ko
sar paTakti hai ye jawani kyon
tum ne socha bhi hai kabhi waiz
mere sine pe hai nishani kyon
main to insan saf dil ka hun
mujh se rakhte ho bad-gumani kyon
zindagi kaT di ghulami mein
chahte ho ye hukmrani kyon
shahron shahron ghumae phirte ho
nok-e-neza pe zindagani kyon
meri tahzib luTne walo
mujh pe karte ho mehrbani kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.