tumne ye majra suna hai kya
tum ne ye mājrā sunā hai kyā
jo bhī honā hai ho chukā hai kyā
vo musāfir jo rāste meñ thā
manziloñ se guzar gayā hai kyā
koī hotā nahīñ hai aap ke saath
aap ke saath mas.ala hai kyā
ye jo tadbīr kar rahā huuñ maiñ
ye bhī taqdīr meñ likhā hai kyā
sochne vaalī baat hai 'imrān'
koī ye baat sochtā hai kyā
dil badal jaa.e ghar badal jaa.e
aadmī kā koī patā hai kyā
kyā hai ye mustatīl tanhā.ī
ye udāsī kā dā.era hai kyā
ġhaur se kaun dekhtā hai yahāñ
in charāġhoñ meñ jal rahā hai kyā
kyuuñ vo sar par savār hai 'imrān'
tere dil se utar gayā hai kyā
tum ne ye majra suna hai kya
jo bhi hona hai ho chuka hai kya
wo musafir jo raste mein tha
manzilon se guzar gaya hai kya
koi hota nahin hai aap ke sath
aap ke sath masala hai kya
ye jo tadbir kar raha hun main
ye bhi taqdir mein likha hai kya
sochne wali baat hai 'imran'
koi ye baat sochta hai kya
dil badal jae ghar badal jae
aadmi ka koi pata hai kya
kya hai ye mustatil tanhai
ye udasi ka daera hai kya
ghaur se kaun dekhta hai yahan
in charaghon mein jal raha hai kya
kyun wo sar par sawar hai 'imran'
tere dil se utar gaya hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.