tum pe main mar raha hun marne do
tum pe maiñ mar rahā huuñ marne do
kaam karne kā hai ye karne do
un ko ai ham-nashīñ sañvarne do
koī martā jo hai to marne do
nā-ravā zulm un ko karne do
ḳhūn-e-nāhaq meñ haath bharne do
bāñdhī talvār khul paḌā joḌā
khaa.e lachke tirī kamar ne do
ḳhuun bolegā sar pe chaḌh ke vahāñ
qatl kar ke yahāñ mukarne do
chhīñTe kausar ke vā.izo denā
abhī shīshe meñ to utarne do
bazm barḳhāst mai-kasho na karo
mirā jām-e-sifāl bharne do
dekhnā ThanDī garmiyāñ un kī
un ko hammām meñ nikharne do
chup huī kyoñ zabān kyoñ rokī
phuul jhaḌne do gul katarne do
ḳhud pareshān rū-siyah hogī
kaan bhartī hai zulf bharne do
josh par sail-e-ashk hai Thero
haiñ chaḌhīñ naddiyāñ utarne do
fikr kyoñ hai namak-fishānī kī
zaḳhm aa le abhī haiñ bharne do
mahv-e-shukr-e-jafā raho tum 'badr'
zulm karte haiñ vo to karne do
tum pe main mar raha hun marne do
kaam karne ka hai ye karne do
un ko ai ham-nashin sanwarne do
koi marta jo hai to marne do
na-rawa zulm un ko karne do
KHun-e-nahaq mein hath bharne do
bandhi talwar khul paDa joDa
khae lachke teri kamar ne do
KHun bolega sar pe chaDh ke wahan
qatl kar ke yahan mukarne do
chhinTe kausar ke waizo dena
abhi shishe mein to utarne do
bazm barKHast mai-kasho na karo
mera jam-e-sifal bharne do
dekhna ThanDi garmiyan un ki
un ko hammam mein nikharne do
chup hui kyon zaban kyon roki
phul jhaDne do gul katarne do
KHud pareshan ru-siyah hogi
kan bharti hai zulf bharne do
josh par sail-e-ashk hai Thero
hain chaDhin naddiyan utarne do
fikr kyon hai namak-fishani ki
zaKHm aa le abhi hain bharne do
mahw-e-shukr-e-jafa raho tum 'badr'
zulm karte hain wo to karne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.