tum pyare ho bas kafi hai kisi aur guman mein mat rahna
tum pyāre ho bas kaafī hai kisī aur gumān meñ mat rahnā
ye jaan kisī kī amānat hai is jaan ke dhyān meñ mat rahnā
tumheñ kaun is rang meñ chāhtā hai tumheñ kaun is Dhang meñ chāhtā hai
kar dekhnā sach kā sāmnā bhī sapnoñ ke jahān meñ mat rahnā
jiine ke yahāñ ka.ī raste haiñ tumheñ takne ko nain taraste haiñ
dhartī pe bhī insāñ baste haiñ sadā ūñchī uḌaan meñ mat rahnā
āñkhoñ se chhalakte haiñ aañsū uḌ jaa.e na jīvan kī ḳhushbū
ye rut hai musalsal bārish kī kisī kachche makān meñ mat rahnā
ye shahr 'zafar' vīrāna hai jise dekho vo dīvāna hai
patthar haiñ sabhī ke hāthoñ meñ shīshe ke makān meñ mat rahnā
tum pyare ho bas kafi hai kisi aur guman mein mat rahna
ye jaan kisi ki amanat hai is jaan ke dhyan mein mat rahna
tumhein kaun is rang mein chahta hai tumhein kaun is Dhang mein chahta hai
kar dekhna sach ka samna bhi sapnon ke jahan mein mat rahna
jine ke yahan kai raste hain tumhein takne ko nain taraste hain
dharti pe bhi insan baste hain sada unchi uDan mein mat rahna
aankhon se chhalakte hain aansu uD jae na jiwan ki KHushbu
ye rut hai musalsal barish ki kisi kachche makan mein mat rahna
ye shahr 'zafar' virana hai jise dekho wo diwana hai
patthar hain sabhi ke hathon mein shishe ke makan mein mat rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.