tum sa dilkash koi dekha hi nahin
tum sā dilkash koī dekhā hī nahīñ
aa.ina jhuuT boltā hī nahīñ
sun ke tārīf apnī sharmā.e
jaise ḳhud se vo āshnā hī nahīñ
jaan le kar vo kah uThe mujh se
is meñ merī koī ḳhatā hī nahīñ
chāragar ko ḳhabar nahīñ shāyad
dard-e-dil kī kuchh davā hī nahīñ
ham ne is dil ko laakh samjhāyā
zor dil par magar chalā hī nahīñ
ye mirā dil to ho chukā terā
mere bas meñ vo ab rahā hī nahīñ
merī hastī ko aas hai tujh se
bin tere koī aasrā hī nahīñ
dard furqat fuġhāñ ḳhalish nafrat
ye asāsa mujhe milā hī nahīñ
tum sa dilkash koi dekha hi nahin
aaina jhuT bolta hi nahin
sun ke tarif apni sharmae
jaise KHud se wo aashna hi nahin
jaan le kar wo kah uThe mujh se
is mein meri koi KHata hi nahin
chaaragar ko KHabar nahin shayad
dard-e-dil ki kuchh dawa hi nahin
hum ne is dil ko lakh samjhaya
zor dil par magar chala hi nahin
ye mera dil to ho chuka tera
mere bas mein wo ab raha hi nahin
meri hasti ko aas hai tujh se
bin tere koi aasra hi nahin
dard furqat fughan KHalish nafrat
ye asasa mujhe mila hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.