tum sath chale the to mere sath chala din
tum saath chale the to mire saath chalā din
tum raah se bichhḌe the ki bas Duub gayā din
jo tum se mahak jaa.e ik aisī na milī raat
jo tum se chamak jaa.e ik aisā na milā din
ik rañgī-e-hālāt se pathrā ga.iiñ āñkheñ
jis tarah kaTī raat usī tarah kaTā din
vo aur masāfat thī jise jhel chuke ham
ye aur masāfat hai jise jhel rahā din
tum sath chale the to mere sath chala din
tum rah se bichhDe the ki bas Dub gaya din
jo tum se mahak jae ek aisi na mili raat
jo tum se chamak jae ek aisa na mila din
ek rangi-e-haalat se pathra gain aankhen
jis tarah kaTi raat usi tarah kaTa din
wo aur masafat thi jise jhel chuke hum
ye aur masafat hai jise jhel raha din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.