tum samajh pate meri tarz-e-bayan aisi na thi
tum samajh paate mirī tarz-e-bayāñ aisī na thī
aur phir dilchasp bhī kuchh dāstāñ aisī na thī
kaisī rut thī sabz ummīdeñ bhī piilī paḌ ga.iiñ
ab se pahle mere kūche meñ ḳhizāñ aisī na thī
talḳhiyāñ din bhar kī bojhal shaam shab ke rat-jage
zindagī mushkil to thī nā-mehrbāñ aisī na thī
haal to daryāft kar lete the ab vo bhī nahīñ
ḳhāmushī pahle hamāre darmiyāñ aisī na thī
ab na hoñToñ par tabassum hai na naġhme haiñ na sher
ab se pahle mere hoñToñ par fuġhāñ aisī na thī
chār-sū phailā hai ab to ek bas furqat kā rang
ab talak yak-rang tasvīr-e-jahāñ aisī na thī
tum samajh pate meri tarz-e-bayan aisi na thi
aur phir dilchasp bhi kuchh dastan aisi na thi
kaisi rut thi sabz ummiden bhi pili paD gain
ab se pahle mere kuche mein KHizan aisi na thi
talKHiyan din bhar ki bojhal sham shab ke rat-jage
zindagi mushkil to thi na-mehrban aisi na thi
haal to daryaft kar lete the ab wo bhi nahin
KHamushi pahle hamare darmiyan aisi na thi
ab na honTon par tabassum hai na naghme hain na sher
ab se pahle mere honTon par fughan aisi na thi
chaar-su phaila hai ab to ek bas furqat ka rang
ab talak yak-rang taswir-e-jahan aisi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.