tum se aata nahin juda hona
tum se aatā nahīñ judā honā
tum mirī āḳhirī sazā honā
jis ko tum roz dikh hī jaate ho
us kī qismat hai aa.ina honā
us ke hone kī ye gavāhī hai
in daraḳhtoñ kā yuuñ harā honā
kitnā mushkil hai bachpanā ab to
kitnā āsān thā baḌā honā
maiñ to hal huuñ kisī kī mushkil kā
mujh ko aayā na mas.ala honā
tum se aata nahin juda hona
tum meri aaKHiri saza hona
jis ko tum roz dikh hi jate ho
us ki qismat hai aaina hona
us ke hone ki ye gawahi hai
in daraKHton ka yun hara hona
kitna mushkil hai bachpana ab to
kitna aasan tha baDa hona
main to hal hun kisi ki mushkil ka
mujh ko aaya na masala hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.