tum se bichhaD ke KHud se bhi hum dur ho gae
tum se bichhaḌ ke ḳhud se bhī ham duur ho ga.e
gumnām ho ke aur bhī mash.hūr ho ga.e
ye aur baat tum na sahī dūsrā sahī
kuchh faisle to ham ko bhī manzūr ho ga.e
shohrat jinheñ milī thī hamārī duāoñ se
qudrat kī shaan ham se bhī maġhrūr ho ga.e
maiñ ne to tum ko TuuT ke chāhā thā jān-e-jāñ
tum jaane kis ḳhayāl se majbūr ho ga.e
haañ apnī shā.erī pe hameñ naaz hai 'ġhazal'
kahne ko apne ḳhvāb ka.ī chuur ho ga.e
tum se bichhaD ke KHud se bhi hum dur ho gae
gumnam ho ke aur bhi mashhur ho gae
ye aur baat tum na sahi dusra sahi
kuchh faisle to hum ko bhi manzur ho gae
shohrat jinhen mili thi hamari duaon se
qudrat ki shan hum se bhi maghrur ho gae
main ne to tum ko TuT ke chaha tha jaan-e-jaan
tum jaane kis KHayal se majbur ho gae
han apni shaeri pe hamein naz hai 'ghazal'
kahne ko apne KHwab kai chur ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.