tum se dekhe na gae humse dikhae na gae
tum se dekhe na ga.e ham se dikhā.e na ga.e
haa.e vo zaḳhm jo is dil se chhupā.e na ga.e
kar liyā yuuñ to har ik ranj gavārā lekin
aaj tak dil se tirī yaad ke saa.e na ga.e
ham ne chāhā bhī nahīñ ham ne bhulāyā bhī nahīñ
dil ne chāhā bhī magar dil se bhulā.e na ga.e
raah par raah nikaltī ga.ī kūche se tire
varna is raah pe ham aap se aa.e na ga.e
naqsh-e-pā ban ke jahāñ miT bhī gayā naqsh-e-umīd
ham usī raah pe baiThe haiñ uThā.e na ga.e
tum se dekhe na gae hum se dikhae na gae
hae wo zaKHm jo is dil se chhupae na gae
kar liya yun to har ek ranj gawara lekin
aaj tak dil se teri yaad ke sae na gae
hum ne chaha bhi nahin hum ne bhulaya bhi nahin
dil ne chaha bhi magar dil se bhulae na gae
rah par rah nikalti gai kuche se tere
warna is rah pe hum aap se aae na gae
naqsh-e-pa ban ke jahan miT bhi gaya naqsh-e-umid
hum usi rah pe baiThe hain uThae na gae
- Book : Awaz Na Do (Pg. 47)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.