tum se kah den na baat kyon dil ki
tum se kah deñ na baat kyoñ dil kī
zabt-e-ġham ab hai baat mushkil kī
yaad kashtī kā Dūbnā aayā
baat kī jab kisī ne sāhil kī
sāhab-e-ġham na ġham kā zikr kare
ḳhuub rasmeñ haiñ un kī mahfil kī
ham ne ḳhud aa ke zer-e-teġh-e-sitam
laaj rakh lī hai azm-e-qātil kī
zarb-e-sayyād kī to deñ sab daad
kis ne parvā-e-murġh-e-bismil kī
mauj-e-dariyā-o-rang-e-lāla-o-gul
kitnī shakleñ haiñ ik mire dil kī
mujh ko ehsās-e-āmad-e-tūfāñ
aap ko fikr sair-e-sāhil kī
mastī-e-ahl-e-kārvāñ tauba
kuchh ḳhabar raah kī na manzil kī
un se kyā ho mo.āmla 'qāsid'
hai alag raah haqq-o-bātil kī
tum se kah den na baat kyon dil ki
zabt-e-gham ab hai baat mushkil ki
yaad kashti ka Dubna aaya
baat ki jab kisi ne sahil ki
sahab-e-gham na gham ka zikr kare
KHub rasmen hain un ki mahfil ki
hum ne KHud aa ke zer-e-tegh-e-sitam
laj rakh li hai azm-e-qatil ki
zarb-e-sayyaad ki to den sab dad
kis ne parwa-e-murgh-e-bismil ki
mauj-e-dariya-o-rang-e-lala-o-gul
kitni shaklen hain ek mere dil ki
mujh ko ehsas-e-amad-e-tufan
aap ko fikr sair-e-sahil ki
masti-e-ahl-e-karwan tauba
kuchh KHabar rah ki na manzil ki
un se kya ho moamla 'qasid'
hai alag rah haqq-o-baatil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.