tum se kis ne kah diya ki KHud-kushi ke sath hain
tum se kis ne kah diyā ki ḳhud-kushī ke saath haiñ
ham to jānāñ zindagī-bhar zindagī ke saath haiñ
baap ke hote hue bhī jaise ho koī yatīm
paas meñ dariyā hai aur ham tishnagī ke saath haiñ
hijr kī rātoñ meñ us ne raushnī baḳhshī inheñ
is liye ye log saare chāñdnī ke saath haiñ
ham ko jo dikhtī hai duniyā asl meñ vo hai nahīñ
jin kā maz.hab tīrgī hai raushnī ke saath haiñ
saath jis ke saikḌoñ haiñ saath us ke ham nahīñ
saath jis ke ho na koī ham usī ke saath haiñ
aaj pahlī martaba vo chhat pe tanhā aa.e haiñ
haa.e la.anat bhejo ham par ham kisī ke saath haiñ
tum se kis ne kah diya ki KHud-kushi ke sath hain
hum to jaanan zindagi-bhar zindagi ke sath hain
bap ke hote hue bhi jaise ho koi yatim
pas mein dariya hai aur hum tishnagi ke sath hain
hijr ki raaton mein us ne raushni baKHshi inhen
is liye ye log sare chandni ke sath hain
hum ko jo dikhti hai duniya asl mein wo hai nahin
jin ka mazhab tirgi hai raushni ke sath hain
sath jis ke saikDon hain sath us ke hum nahin
sath jis ke ho na koi hum usi ke sath hain
aaj pahli martaba wo chhat pe tanha aae hain
hae lanat bhejo hum par hum kisi ke sath hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.