tum se kuchh kahne ko tha bhul gaya
tum se kuchh kahne ko thā bhuul gayā
haa.e kyā baat thī kyā bhuul gayā
bholī bholī jo vo sūrat dekhī
shikva-e-jaur-o-jafā bhuul gayā
dil meñ baiThā hai ye ḳhauf us but kā
haath uTThe ki duā bhuul gayā
ḳhush huuñ is vāda-farāmoshī se
us ne hañs kar to kahā bhuul gayā
hāl-e-dil sunte hī kis lutf se haa.e
kuchh kahā kuchh jo rahā bhuul gayā
vaañ kis ummīd pe phir jaa.e koī
ai dil us baat ko kyā bhuul gayā
hosh meñ aa ke sunā kuchh qāsid
yaad kyā hai tujhe kyā bhuul gayā
ahd kyā thā mujhe kuchh yaad nahīñ
yahī gar bhuul gayā bhuul gayā
maiñ idhar bhuul gayā ranj-e-firāq
vo udhar uzr-e-jafā bhuul gayā
yaad meñ ek sanam kī nāseh
maiñ to sab kuchh ba-ḳhudā bhuul gayā
ḳhair mujh par to jo guzrī guzrī
shukr vo tarz-e-vafā bhuul gayā
yaad us kī hai mirī ziist 'nizām'
maut aa.ī jo zarā bhuul gayā
tum se kuchh kahne ko tha bhul gaya
hae kya baat thi kya bhul gaya
bholi bholi jo wo surat dekhi
shikwa-e-jaur-o-jafa bhul gaya
dil mein baiTha hai ye KHauf us but ka
hath uTThe ki dua bhul gaya
KHush hun is wada-faramoshi se
us ne hans kar to kaha bhul gaya
haal-e-dil sunte hi kis lutf se hae
kuchh kaha kuchh jo raha bhul gaya
wan kis ummid pe phir jae koi
ai dil us baat ko kya bhul gaya
hosh mein aa ke suna kuchh qasid
yaad kya hai tujhe kya bhul gaya
ahd kya tha mujhe kuchh yaad nahin
yahi gar bhul gaya bhul gaya
main idhar bhul gaya ranj-e-firaq
wo udhar uzr-e-jafa bhul gaya
yaad mein ek sanam ki naseh
main to sab kuchh ba-KHuda bhul gaya
KHair mujh par to jo guzri guzri
shukr wo tarz-e-wafa bhul gaya
yaad us ki hai meri zist 'nizam'
maut aai jo zara bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.