tum se mil kar ye laga KHud se mulaqat hui
tum se mil kar ye lagā ḳhud se mulāqāt huī
aaj ye bāb-e-mohabbat meñ na.ī baat huī
ab na pahlī sī tavajjoh na vo pahlā sā sulūk
ḳhatm ab jaise har ik rasm-e-murā’āt huī
chhaT ga.e sar se mire ranj-o-alam ke bādal
rāt-bhar āñkhoñ se ashkoñ kī vo barsāt huī
ham musāfir the rah-e-ishq ke yā ḳhāna-ba-dosh
din kahīñ ham ne guzārā to kahīñ raat huī
ham se insānoñ kī is ālam-e-hastī meñ bhalā
kis ko mā'lūm hai kaise basar-auqāt huī
āḳhirī vaqt meñ vo aa.e haiñ pursish ko mirī
fasl-e-jāñ suukh ga.ī apnī to barsāt huī
'fauziya' mil hī ga.ī manzil-e-maqsūd hameñ
shukr hai gardish-e-ayyām ko bhī maat huī
tum se mil kar ye laga KHud se mulaqat hui
aaj ye bab-e-mohabbat mein nai baat hui
ab na pahli si tawajjoh na wo pahla sa suluk
KHatm ab jaise har ek rasm-e-mura’at hui
chhaT gae sar se mere ranj-o-alam ke baadal
raat-bhar aankhon se ashkon ki wo barsat hui
hum musafir the rah-e-ishq ke ya KHana-ba-dosh
din kahin hum ne guzara to kahin raat hui
hum se insanon ki is aalam-e-hasti mein bhala
kis ko ma'lum hai kaise basar-auqat hui
aaKHiri waqt mein wo aae hain pursish ko meri
fasl-e-jaan sukh gai apni to barsat hui
'fauziya' mil hi gai manzil-e-maqsud hamein
shukr hai gardish-e-ayyam ko bhi mat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.