tum se na koi shikwa shikayat na gila hai
tum se na koī shikva shikāyat na gila hai
jo dard thā qismat meñ vahī dard milā hai
har koī samajhtā hai ki hañstā huuñ to ḳhush huuñ
ye kis ko batā.eñ ye hunar ġham se milā hai
ḳhud apnī tamannāoñ ke pahre meñ hai hastī
kab chāñd kisī shaḳhs ke hāthoñ meñ khilā hai
ik jism nahīñ ruuh bhī mahkī hai hamārī
vo jab bhī mohabbat se gale ham se milā hai
hotā hai tire naam se har roz ujālā
duniyā meñ mirī ab bhī tire dam se jilā hai
ai 'saif' samajh le ki isī shahr ne aksar
luuTā hai use jo bhī yahāñ dil se milā hai
tum se na koi shikwa shikayat na gila hai
jo dard tha qismat mein wahi dard mila hai
har koi samajhta hai ki hansta hun to KHush hun
ye kis ko bataen ye hunar gham se mila hai
KHud apni tamannaon ke pahre mein hai hasti
kab chand kisi shaKHs ke hathon mein khila hai
ek jism nahin ruh bhi mahki hai hamari
wo jab bhi mohabbat se gale hum se mila hai
hota hai tere nam se har roz ujala
duniya mein meri ab bhi tere dam se jila hai
ai 'saif' samajh le ki isi shahr ne aksar
luTa hai use jo bhi yahan dil se mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.