tum se nafrat na ki ki chah na ki
tum se nafrat na kī ki chaah na kī
tum se kis kis tarah nibāh na kī
be-hisī se kiye rahe taarī
aur hāsil koī panāh na kī
rāh-e-dil ho ki rāh-e-duniyā ho
gaah kī iḳhtiyār gaah na kī
muñh pe kālak zarūr malvā lī
apnī fard-e-amal siyāh na kī
dā.imī zindagī ke lālach meñ
'ārzī zindagī tabāh na kī
dil kā hamdard kaun ho jis ne
kabhī parvā-e-intibāh na kī
husn kā sā.ebāñ kushāda rahā
kī mohabbat kisī ne ḳhvāh na kī
jis ne us kī taraf nigāh uThā.ī
phir kisī kī taraf nigāh na kī
'umr kyā shai thī kyā batā.ūñ 'shu'ūr'
tū ne kis shai kī qadr aah na kī
tum se nafrat na ki ki chah na ki
tum se kis kis tarah nibah na ki
be-hisi se kiye rahe tari
aur hasil koi panah na ki
rah-e-dil ho ki rah-e-duniya ho
gah ki iKHtiyar gah na ki
munh pe kalak zarur malwa li
apni fard-e-amal siyah na ki
daimi zindagi ke lalach mein
'arzi zindagi tabah na ki
dil ka hamdard kaun ho jis ne
kabhi parwa-e-intibah na ki
husn ka saeban kushada raha
ki mohabbat kisi ne KHwah na ki
jis ne us ki taraf nigah uThai
phir kisi ki taraf nigah na ki
'umr kya shai thi kya bataun 'shu'ur'
tu ne kis shai ki qadr aah na ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.