tum se nahin mile to kisi se nahin mile
tum se nahīñ mile to kisī se nahīñ mile
milnā bhī paḌ gayā to ḳhushī se nahīñ mile
duniyā to kyā ki ḳhud se bhī karte rahe gurez
jab tak mile kisī se kisī se nahīñ mile
ham apne dushmanoñ se gale mil ke aa ga.e
jis ke liye ga.e the usī se nahīñ mile
āñkheñ vahī to haiñ jo mujhe DhūñDhtī raheñ
sūrat vahī to hai jo kisī se nahīñ mile
milne ko zindagī meñ sabhī kuchh milā magar
tum mil ga.e to log ḳhushī se nahīñ mile
jo be-talab thā us kī hameñ justujū rahī
jo milnā chāhtā thā usī se nahīñ mile
dekho ye dil abhī se bayābāñ-navard hai
milnā na ho jise vo abhī se nahīñ mile
tum se nahin mile to kisi se nahin mile
milna bhi paD gaya to KHushi se nahin mile
duniya to kya ki KHud se bhi karte rahe gurez
jab tak mile kisi se kisi se nahin mile
hum apne dushmanon se gale mil ke aa gae
jis ke liye gae the usi se nahin mile
aankhen wahi to hain jo mujhe DhunDhti rahen
surat wahi to hai jo kisi se nahin mile
milne ko zindagi mein sabhi kuchh mila magar
tum mil gae to log KHushi se nahin mile
jo be-talab tha us ki hamein justuju rahi
jo milna chahta tha usi se nahin mile
dekho ye dil abhi se bayaban-naward hai
milna na ho jise wo abhi se nahin mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.