tum se nazar ke sāmne aayā na jā sakā
shāyad nazar kā baar uThāyā na jā sakā
ham se tirā tasavvur-e-rangīñ tirā ḳhayāl
kiiñ laakh koshisheñ pe bhulāyā na jā sakā
bazm-e-tajalliyāt kī vāraftagī na pūchh
ye hosh thā ki hosh meñ aayā na jā sakā
thiiñ jalva-gar jo aap kī is meñ tajalliyāñ
dil 'ishq kī nazar se girāyā na jā sakā
vo to hazār rang se pūchhā kiye magar
ham se hī dil kā haal batāyā na jā sakā
nākām ho ga.ī mirī chashm-e-pur-āb bhī
sho'la bhaḌak gayā to bujhāyā na jā sakā
maujūd ho nigāh-e-tasavvur ke sāmne
ab to kaho ki tum se bulāyā na jā sakā
dast-e-gadā-navāz kā is meñ hai kyā qusūr
dast-e-talab hamīñ se baḌhāyā na jā sakā
apnī nigāh se to chhupāyā tumheñ magar
dil kī nazar se tum ko chhupāyā na jā sakā
un kī 'atā kī ḳhair ho 'bahzād'-e-mubtalā
vo kī 'atā ki jis ko bhulāyā jā sakā
tum se nazar ke samne aaya na ja saka
shayad nazar ka bar uThaya na ja saka
hum se tera tasawwur-e-rangin tera KHayal
kin lakh koshishen pe bhulaya na ja saka
bazm-e-tajalliyat ki waraftagi na puchh
ye hosh tha ki hosh mein aaya na ja saka
thin jalwa-gar jo aap ki is mein tajalliyan
dil 'ishq ki nazar se giraya na ja saka
wo to hazar rang se puchha kiye magar
hum se hi dil ka haal bataya na ja saka
nakaam ho gai meri chashm-e-pur-ab bhi
sho'la bhaDak gaya to bujhaya na ja saka
maujud ho nigah-e-tasawwur ke samne
ab to kaho ki tum se bulaya na ja saka
dast-e-gada-nawaz ka is mein hai kya qusur
dast-e-talab hamin se baDhaya na ja saka
apni nigah se to chhupaya tumhein magar
dil ki nazar se tum ko chhupaya na ja saka
un ki 'ata ki KHair ho 'bahzad'-e-mubtala
wo ki 'ata ki jis ko bhulaya ja saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.