tum se poshida koi baat nahin
tum se poshīda koī baat nahīñ
haañ nahīñ jān-e-iltifāt nahīñ
har ghaḌī un kā dhyān un kā ḳhayāl
sub.h apnī nahīñ hai raat nahīñ
dil meñ kitnī hī dāstāneñ haiñ
aur hoñToñ pe koī baat nahīñ
kal yahī raat thī yahī ham the
aaj kī raat meñ vo baat nahīñ
ġham-e-jānāñ kabhī ġham-e-daurāñ
ġham se āḳhir hameñ najāt nahīñ
apnī manzil pe aa ga.ī hai hayāt
hādse aur sānehāt nahīñ
mil gayā hai kisī kā ġham 'rāje'
ab ġham-o-fikr-e-kā.enāt nahīñ
tum se poshida koi baat nahin
han nahin jaan-e-iltifat nahin
har ghaDi un ka dhyan un ka KHayal
subh apni nahin hai raat nahin
dil mein kitni hi dastanen hain
aur honTon pe koi baat nahin
kal yahi raat thi yahi hum the
aaj ki raat mein wo baat nahin
gham-e-jaanan kabhi gham-e-dauran
gham se aaKHir hamein najat nahin
apni manzil pe aa gai hai hayat
hadse aur sanehat nahin
mil gaya hai kisi ka gham 'raje'
ab gham-o-fikr-e-kaenat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.