tum se shikwa bhi nahin koi shikayat bhi nahin
tum se shikva bhī nahīñ koī shikāyat bhī nahīñ
aur is tark-e-ta.alluq kī vazāhat bhī nahīñ
yaad mīrās hai yādeñ hī amānat haiñ mirī
vo to mahfūz haiñ ab un kī ināyat bhī nahīñ
jab mirī gardish-e-daurāñ se mulāqāt huī
hañs ke bole tujhe hājāt-e-kifāyat bhī nahīñ
talḳh yādoñ kā dafīna hai ye ma.asūm sā dil
talḳh yādoñ se hameñ koī shikāyat bhī nahīñ
'āsifa' sirf hai kahne ke liye dil merā
ab magar dil pe mire merī hukūmat bhī nahīñ
tum se shikwa bhi nahin koi shikayat bhi nahin
aur is tark-e-talluq ki wazahat bhi nahin
yaad miras hai yaaden hi amanat hain meri
wo to mahfuz hain ab un ki inayat bhi nahin
jab meri gardish-e-dauran se mulaqat hui
hans ke bole tujhe hajat-e-kifayat bhi nahin
talKH yaadon ka dafina hai ye masum sa dil
talKH yaadon se hamein koi shikayat bhi nahin
'asifa' sirf hai kahne ke liye dil mera
ab magar dil pe mere meri hukumat bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.