tum se wada wafa nahin hota
tum se va.ada vafā nahīñ hotā
dil hai phir bhī ḳhafā nahīñ hotā
ishq apnā jatā ke pachhtā.e
kaash tum se kahā nahīñ hotā
dost huuñ ġham-gusār huuñ terā
dard tanhā sahā nahīñ hotā
tere dar se murād gar miltī
dar-ba-dar kā gadā nahīñ hotā
tum ne itnā karam kiyā aaqā
ham se haq bhī adā nahīñ hotā
jab bhī 'sāgar' se milne jaatā huuñ
koī tere sivā nahīñ hotā
tum se wada wafa nahin hota
dil hai phir bhi KHafa nahin hota
ishq apna jata ke pachhtae
kash tum se kaha nahin hota
dost hun gham-gusar hun tera
dard tanha saha nahin hota
tere dar se murad gar milti
dar-ba-dar ka gada nahin hota
tum ne itna karam kiya aaqa
hum se haq bhi ada nahin hota
jab bhi 'sagar' se milne jata hun
koi tere siwa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.