tum shad raho mauj-e-saba bol rahi hai
tum shaad raho mauj-e-sabā bol rahī hai
har roz yahī taaza havā bol rahī hai
ham log kabhī sāhab-e-sarvat the yahāñ par
jismoñ kī ye bosīda qabā bol rahī hai
koī to mujhe aa ke yahāñ apne banā le
hāthoñ kī hathelī pe hinā bol rahī hai
tūfān-e-havādis kā tumheñ ḳhauf na hogā
hoñToñ pe buzurgoñ ke du'ā bol rahī hai
ye to kabhī aslāf kī dastār thī mere
jo sar pe hai tere vo ridā bol rahī hai
sar-tā-ba-qadam husn-e-mujassam vo lage hai
lahrātī huī bād-e-sabā bol rahī hai
allāh kā farmān hai uTh jaao rafīqo
hoñToñ pe muazzin ke sadā bol rahī hai
tum shad raho mauj-e-saba bol rahi hai
har roz yahi taza hawa bol rahi hai
hum log kabhi sahab-e-sarwat the yahan par
jismon ki ye bosida qaba bol rahi hai
koi to mujhe aa ke yahan apne bana le
hathon ki hatheli pe hina bol rahi hai
tufan-e-hawadis ka tumhein KHauf na hoga
honTon pe buzurgon ke du'a bol rahi hai
ye to kabhi aslaf ki dastar thi mere
jo sar pe hai tere wo rida bol rahi hai
sar-ta-ba-qadam husn-e-mujassam wo lage hai
lahraati hui baad-e-saba bol rahi hai
allah ka farman hai uTh jao rafiqo
honTon pe muazzin ke sada bol rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.