tum sikh to lo pahle zara KHak pe rahna
tum siikh to lo pahle zarā ḳhaak pe rahnā
phir chāhe mah-o-anjum-o-aflāk pe rahnā
sūrat hī na ban paatī koī hairat-e-dil kī
miTTī ko na raas aatā agar chaak pe rahnā
har shaam sitam laatī hai ik sub.h-e-ġharībāñ
ai rañg-e-vafā chādar-e-sad-chāk pe rahnā
khulne hī nahīñ detā koī rañg-e-tamannā
har lamha kisī ḳhauf kā idrāk pe rahnā
ho phir se chaman-zār-e-mohabbbat mirā sarsabz
ai shabnam-e-rahmat mire ḳhāshāk pe rahnā
tum sikh to lo pahle zara KHak pe rahna
phir chahe mah-o-anjum-o-aflak pe rahna
surat hi na ban pati koi hairat-e-dil ki
miTTi ko na ras aata agar chaak pe rahna
har sham sitam lati hai ek subh-e-ghariban
ai rang-e-wafa chadar-e-sad-chaak pe rahna
khulne hi nahin deta koi rang-e-tamanna
har lamha kisi KHauf ka idrak pe rahna
ho phir se chaman-zar-e-mohabbbat mera sarsabz
ai shabnam-e-rahmat mere KHashak pe rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.