tum the KHuda tha aur mujassam dua tha main
tum the KHuda tha aur mujassam dua tha main
Hamid Iqbal Siddiqui
MORE BYHamid Iqbal Siddiqui
tum the ḳhudā thā aur mujassam duā thā maiñ
yūñhī tumhāre naam na likkhā gayā thā maiñ
ḳhvāhish ke phailte hue manzar meñ tum hī tum
jazboñ ke ik hisār meñ simTā huā thā maiñ
kuchh ye bhī thā ki tum ne mujhe āsmāñ kiyā
kuchh yuuñ bhī thā ki ḳhud meñ kahīñ kho gayā thā maiñ
tum ne hī naqsh naqsh kiyā har lakīr ko
varna ḳhud apne ruup kahāñ jāntā thā maiñ
ik tum hī jānte the mirī saarī ādateñ
be-sāḳhta mizāj thā kab sochtā thā maiñ
maiñ tum ko dekhtā thā kisī aur ruup meñ
vahshat-zada the ḳhvāb magar dekhtā thā maiñ
phir tum bhī ho ga.e mire maazī kā ek baab
phir qasr-e-e'tibār meñ tanhā khaḌā thā maiñ
tum the KHuda tha aur mujassam dua tha main
yunhi tumhaare nam na likkha gaya tha main
KHwahish ke phailte hue manzar mein tum hi tum
jazbon ke ek hisar mein simTa hua tha main
kuchh ye bhi tha ki tum ne mujhe aasman kiya
kuchh yun bhi tha ki KHud mein kahin kho gaya tha main
tum ne hi naqsh naqsh kiya har lakir ko
warna KHud apne rup kahan jaanta tha main
ek tum hi jaante the meri sari aadaten
be-saKHta mizaj tha kab sochta tha main
main tum ko dekhta tha kisi aur rup mein
wahshat-zada the KHwab magar dekhta tha main
phir tum bhi ho gae mere mazi ka ek bab
phir qasr-e-e'tibar mein tanha khaDa tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.