tum to auron pe na patthar phenko
tum to auroñ pe na patthar pheñko
ā.īna-ḳhānoñ meñ rahne vaalo
kuchh to ho sūrat-e-tajdīd-e-vafā
maiñ bhī sochūñ zarā tum bhī socho
maiñ bahar-hāl tumhārā huuñ magar
kaash tum bhī mujhe apnā samjho
na suno TuuTe hue dil kī sadā
do ghaḌī paas to aa kar baiTho
khol kar band darīcha 'nāsir'
Dūbte chāñd kā manzar dekho
tum to auron pe na patthar phenko
aaina-KHanon mein rahne walo
kuchh to ho surat-e-tajdid-e-wafa
main bhi sochun zara tum bhi socho
main bahar-haal tumhaara hun magar
kash tum bhi mujhe apna samjho
na suno TuTe hue dil ki sada
do ghaDi pas to aa kar baiTho
khol kar band daricha 'nasir'
Dubte chand ka manzar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.