tum to kahte the ki jhagDe mein hua kuchh bhi nahin
tum to kahte the ki jhagDe mein hua kuchh bhi nahin
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
tum to kahte the ki jhagḌe meñ huā kuchh bhī nahīñ
maiñ ne dekhā hai ki bastī meñ rahā kuchh bhī nahīñ
ḳhirman-e-hosh-o-ḳhirad jal ga.e insānoñ ke
un kā da.avā hai fasādoñ meñ jalā kuchh bhī nahīñ
uf vo hālāt se sahmī huī bebas laḌkī
sar jhukā.e hue kahtī hai luTā kuchh bhī nahīñ
maslahat-koshī kī qaiñchī jo chalī ḳhabroñ par
shaa.e aḳhbār hue un meñ chhupā kuchh bhī nahīñ
is liye ho ga.ī zarḳhez jarā.em kī zamīñ
mujrimoñ ke liye duniyā meñ sazā kuchh bhī nahīñ
jo ye kahte haiñ ahinsā kī zamīñ hai bhārat
un kī āñkhoñ meñ to sapnoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ab hasīñ chehroñ pe miltī hai tasanño kī naqāb
ġhamza-o-ishva-o-andāz-o-adā kuchh bhī nahīñ
aisā badlā hai zamāne kā chalan ai hamdam
pyaar nāpaid huā mehr-o-vafā kuchh bhī nahīñ
jaane kyoñ tīr-e-sitam chalte haiñ ham par 'bebāk'
apnā maslak to mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
tum to kahte the ki jhagDe mein hua kuchh bhi nahin
main ne dekha hai ki basti mein raha kuchh bhi nahin
KHirman-e-hosh-o-KHirad jal gae insanon ke
un ka dawa hai fasadon mein jala kuchh bhi nahin
uf wo haalat se sahmi hui bebas laDki
sar jhukae hue kahti hai luTa kuchh bhi nahin
maslahat-koshi ki qainchi jo chali KHabron par
shae aKHbar hue un mein chhupa kuchh bhi nahin
is liye ho gai zarKHez jaraem ki zamin
mujrimon ke liye duniya mein saza kuchh bhi nahin
jo ye kahte hain ahinsa ki zamin hai bhaarat
un ki aankhon mein to sapnon ke siwa kuchh bhi nahin
ab hasin chehron pe milti hai tasanno ki naqab
ghamza-o-ishwa-o-andaz-o-ada kuchh bhi nahin
aisa badla hai zamane ka chalan ai hamdam
pyar napaid hua mehr-o-wafa kuchh bhi nahin
jaane kyon tir-e-sitam chalte hain hum par 'bebak'
apna maslak to mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.