tum to kahte the wo mausam hi nahin aane ka
tum to kahte the vo mausam hī nahīñ aane kā
aa ke dekho to nayā rang hai vīrāne kā
banñe lagtī hai jahāñ sher kī sūrat koī
ḳhauf rahtā hai vahīñ baat bigaḌ jaane kā
ham ko āvārgī kis dasht meñ laa.ī hai ki ab
koī imkāñ hī nahīñ lauT ke ghar jaane kā
dil ke patjhaḌ meñ to shāmil nahīñ zardī ruḳh kī
rang achchhā nahīñ is baaġh ke murjhāne kā
khā ga.ī ḳhuun kī pyāsī vo zamīñ ham ko hī
shauq thā kūcha-e-qātil kī havā khāne kā
tum to kahte the wo mausam hi nahin aane ka
aa ke dekho to naya rang hai virane ka
banne lagti hai jahan sher ki surat koi
KHauf rahta hai wahin baat bigaD jaane ka
hum ko aawargi kis dasht mein lai hai ki ab
koi imkan hi nahin lauT ke ghar jaane ka
dil ke patjhaD mein to shamil nahin zardi ruKH ki
rang achchha nahin is bagh ke murjhane ka
kha gai KHun ki pyasi wo zamin hum ko hi
shauq tha kucha-e-qatil ki hawa khane ka
- Book : غبار حیرانی (Pg. 23)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.