tum wafa ka ewaz jafa samjhe
tum vafā kā evaz jafā samjhe
ai buto tum se bas ḳhudā samjhe
paan khā kar jo aa.e maqtal meñ
kyā shahīdoñ kā ḳhūn-bahā samjhe
sar qalam karne kā thā ḳhat meñ jo haal
us kā mazmūn ham judā samjhe
kab vo talvoñ se āñkheñ malne de
jo ki mizhgāñ ko ḳhār-e-pā samjhe
ho gayā jab qalam hamārā sar
apnī qismat kā tab likhā samjhe
dauḌe kyā ho ke ḳhush sū-e-maqtal
us ke ham ghar kā rāsta samjhe
kisī sūrat se ham ko aane de
kaash darvāze kā gadā samjhe
yād-e-dandāñ meñ jo bahā aañsū
us ko ham durr-e-be-bahā samjhe
chāñdnī par vo phir rakhe na qadam
ham faqīroñ kā boriyā samjhe
terī abrū ko jo hilāl kahā
māh-e-nau se bhī kuchh sivā samjhe
marūñ to vo javāb-e-nāma likhe
ḳhat na aane kā mudda.ā samjhe
haath uThā kar lagā jo kosne vo
vaah re ham use duā samjhe
jo hai begāna āshnā hai vo
ham jo kahte haiñ koī kyā samjhe
ham ko nazroñ se pīstī haiñ aap
chashm-e-bad duur tūtiyā samjhe
jab se us kūche meñ qadam rakkhā
kīmiyā ko bhī ḳhāk-e-pā samjhe
tujh ko o naujavāñ kahā be-misl
aaj ma.anī-e-lā-fatā samjhe
ham ne jab dekhī chāñdnī chhiTkī
terī utrī huī qabā samjhe
kāsa-e-māh jab se dekh liyā
tab se gardūñ ko ham gadā samjhe
apne fahmīd pūchh mat 'goyā'
kuchh na samjhe ye bārhā samjhe
tum wafa ka ewaz jafa samjhe
ai buto tum se bas KHuda samjhe
pan kha kar jo aae maqtal mein
kya shahidon ka KHun-baha samjhe
sar qalam karne ka tha KHat mein jo haal
us ka mazmun hum juda samjhe
kab wo talwon se aankhen malne de
jo ki mizhgan ko KHar-e-pa samjhe
ho gaya jab qalam hamara sar
apni qismat ka tab likha samjhe
dauDe kya ho ke KHush su-e-maqtal
us ke hum ghar ka rasta samjhe
kisi surat se hum ko aane de
kash darwaze ka gada samjhe
yaad-e-dandan mein jo baha aansu
us ko hum durr-e-be-baha samjhe
chandni par wo phir rakhe na qadam
hum faqiron ka boriya samjhe
teri abru ko jo hilal kaha
mah-e-nau se bhi kuchh siwa samjhe
marun to wo jawab-e-nama likhe
KHat na aane ka muddaa samjhe
hath uTha kar laga jo kosne wo
wah re hum use dua samjhe
jo hai begana aashna hai wo
hum jo kahte hain koi kya samjhe
hum ko nazron se pisti hain aap
chashm-e-bad dur tutiya samjhe
jab se us kuche mein qadam rakkha
kimiya ko bhi KHak-e-pa samjhe
tujh ko o naujawan kaha be-misl
aaj mani-e-la-fata samjhe
hum ne jab dekhi chandni chhiTki
teri utri hui qaba samjhe
kasa-e-mah jab se dekh liya
tab se gardun ko hum gada samjhe
apne fahmid puchh mat 'goya'
kuchh na samjhe ye barha samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.