tum yaad na jaane kyon aae kyon guzra zamana yaad aaya
tum yaad na jaane kyoñ aa.e kyoñ guzrā zamāna yaad aaya
ham jis ko haqīqat samjhe the vo aaj fasāna yaad aaya
kyoñ rishta-e-ulfat TuuT gayā kyoñ haath se dāman chhūT gayā
kis tarah bhulā.ī yaad tirī vo aaj bhulānā yaad aaya
vo pichhlī mohabbat yaad aa.ī vo terī sharārat yaad aa.ī
vo kheñch ke chādar hāthoñ se sone se jagānā yaad aaya
vo niiñd tirī jagte jagte vo jaag tirī sote sote
vo husn-o-nazākat yaad aa.ī vo terā jagānā yaad aaya
sharminda-e-gul ruḳhsār tire resham sī mulā.em vo zulfeñ
āñkhoñ ke chhalakte sāġhar se vo mai kā pilānā yaad aaya
bāhoñ ko kabhī Daalā hans kar khīñchā to kabhī āñchal haT kar
vo aa ke ḳhushī se kuchh kahnā vo ruuTh ke jaanā yaad aaya
ye yaad rahe baaqī 'paikar' ye bhuul rahe baaqī 'paikar'
vo bhuul kī jis kī yaad aa.ī vo yaad bhulānā yaad aaya
tum yaad na jaane kyon aae kyon guzra zamana yaad aaya
hum jis ko haqiqat samjhe the wo aaj fasana yaad aaya
kyon rishta-e-ulfat TuT gaya kyon hath se daman chhuT gaya
kis tarah bhulai yaad teri wo aaj bhulana yaad aaya
wo pichhli mohabbat yaad aai wo teri shararat yaad aai
wo khench ke chadar hathon se sone se jagana yaad aaya
wo nind teri jagte jagte wo jag teri sote sote
wo husn-o-nazakat yaad aai wo tera jagana yaad aaya
sharminda-e-gul ruKHsar tere resham si mulaem wo zulfen
aankhon ke chhalakte saghar se wo mai ka pilana yaad aaya
bahon ko kabhi Dala hans kar khincha to kabhi aanchal haT kar
wo aa ke KHushi se kuchh kahna wo ruTh ke jaana yaad aaya
ye yaad rahe baqi 'paikar' ye bhul rahe baqi 'paikar'
wo bhul ki jis ki yaad aai wo yaad bhulana yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.