tumhaara adl-e-jahangir aur hi kuchh hai
tumhārā adl-e-jahāñgīr aur hī kuchh hai
mirī ḳhatā mirī taqsīr aur hī kuchh hai
bayān-e-vā.iz-e-rañgīñ-navā hai ḳhuub magar
hamāre shahr kī tasvīr aur hī kuchh hai
kitāb meñ jo likhā hai durust hai lekin
hamāre ḳhvāb kī ta.abīr aur hī kuchh hai
hasīn-tar hai faroġh-e-nazar hai husn-e-jahāñ
tumhārā husn-e-hama-gīr aur hī kuchh hai
suḳhan-varoñ ne izāfe kiye ġhazal meñ bahut
maqām-e-mīr-taqī-'mīr' aur hī kuchh hai
tumhaara adl-e-jahangir aur hi kuchh hai
meri KHata meri taqsir aur hi kuchh hai
bayan-e-waiz-e-rangin-nawa hai KHub magar
hamare shahr ki taswir aur hi kuchh hai
kitab mein jo likha hai durust hai lekin
hamare KHwab ki tabir aur hi kuchh hai
hasin-tar hai farogh-e-nazar hai husn-e-jahan
tumhaara husn-e-hama-gir aur hi kuchh hai
suKHan-waron ne izafe kiye ghazal mein bahut
maqam-e-mir-taqi-'mir' aur hi kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.